Pubg lite pc me aise karen download

Pubg Lite


Aaj ham batane wale hai Pubg Lite kaise download kar sakte hai bilkul easy way me jisse apko Pubg Lite download karne me kafi aasani hogi.
Jaisa ki ap logon ko pata hoga ki Pubg abhi hal hi me tencent company ne Pubg lite ko launch kiya hai. Pubg lite un PC walon ke liye banaya gaya hai jis ke pas pura pc hai jiska hardware jyada achchha nahi hai, taki Pubg lite har koi khel sake. Tencent company is game ko failane ki puri kosis kar rahi hai.

Pubg lite



Pubg lite kaise download karne

Pubg Bharat me hi nahi, balki duniya bhar me kafi famous game hai. Ab iska lite beta version Bharat me live ho gaya hai. Is game ko Bharat me pichhle mahine hi registration ke liye khola gaya tha. Jin users me beta ke pre-registration ke liye sign in kiya tha, wah ise khel sakte hain. Halanki new players bhi registration kar ke ise khel paenge. Iske liye apko installation file download hone ke bad use run kar pahle launcher install karna hoga. Apko bata den ki yah game nahi bas launcher hai. launcher chalne ke bad apko Pubg account sign in karne ke liye kaha jaega . Yahan usi account ka istemal karen , jo Apne pre-registration ke time kiya tha. Uske bad launcher open ho jaega aur Pubg Lite game download karne ki anumati  mil jaegi.

Pubg lite



Aise Pubg Lite karen download

Pubg Lite ki official website ke mutabik, Jin Bharateey users me beta testing ke liye pahle se registration kiya hai, ve link ke jariye download kar sakte hai. Pubg lite game ko https://lite.pubg.com/download/ site se download kar sakte hai. Iske alawa ,apne computer ke liye yahan se Nvidia, Intel aur ATI Radeon bhi download kar sakte hai. Pubg lite ka download size 2.4GB hai. Apko bata den ki is game ko banane wali company tencent me Pubg lite game ko low and hardware ke liye taiyar kiya hai. Iski madad se low and specifications wale computer, laptop users is game ko aasani se khel paenge, jinhen pahle is online game ko khel me par connectivity ki paresani hoti thi. Pubg lite Bharat me PC ke liye game ka free version hai. Abhi tak is game ka mobile version free me khelne ke liye uplabdh hai. Iske alawa, yah game Afganistan, Bhutan, Maldeev, Nepal, Pakistan, Laitin, American countries me bhi download ke liye live hai.

Pubg lite



Pubg lite PC ki khubi :-

  • Pubg lite PC ke liye free uplabdh karaya gaya hai. Pahle PC ke liye paisa paid karna padta tha.
  • Iske size 2.4GB kar diya hai. Pahle ye 30GB PC ke liye hota tha.
  • Iske graphic ko behtar kiya gaya hai aur kafi clean aur colourful banaya gaya hai.
  • Ye Pubg mobile aur Pubg PC ka thoda mixture hai.
  • Isme ek khas khubi ye bhi dala gaya hai ki ap apne group ke member ko bhi gun se shoot kar sakte ho.
  • Pubg lite me apko har saman jaise gun, bullet,bag aut sabhi ko apne se select kar uthana hoga.

Yadi ap aur bhi jankari chahte hai to hamare blog ko subscribe jarur karen. Pubg se related aur bhi jankariyan aane wale blog me deta rahunga.
Agar apko aur bhi kisi app ke bare me janna chahte hai to hame comments karen ham us app par jarur blog likhenge.


Thank you

Comments

Popular posts from this blog

Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Instagram video download karne aise (in desktop, iOS, android)