Google pay || Google pay account kaise banaen|| Step by step

Google pay

Google pay google duara lunch kiya gaya app hai. Jisse ap badi asani se money transfer sidhe apne bank account se kar sakte hai. Bina koi transaction charge kate aur sath hi aap mobile recharge, DTH recharge, offers aur bahut sari chijen kar sakte hai sidhe apne bank se. Aaj hamlog Google pay account bnane sikhenge.

 Google pay account kaise bnaen

>Google pay download shot link:- click here
>Google pay download link:- click here


Google pay account kaise bnaen:-


Step 1:- Language select karen

Sab se pahle apko apna Google pay app download kar ke open karen. Jaise hi ap apna app kholenge tab apko language select karne ka option aayega. Apko jo bhasha samajh me aata hai use select kar len. Jaise Hindi, English, Bangla aur bahut sare hai.

Google pay account kaise bnaen

Step 2:- Mobile number likhen

Apko yahan par mobile number likhna hai. Ye dhiyan rakhna hai ki apko wahi mobile number dalna hai jo apne bank me link karwaya hai ya ap chahte hai ki paytm bank link karen to apko paytm wala number dalna hoga. 

Google pay account kaise bnaen

Phir apke number ka OTP verification hoga Jo automatically hoga. Apko kuch nahi karna padega. Bas kuch second ka intejar dekhna hai.

Google pay account kaise bnaen

Step 3:-  select your Gmail account.

Mobile number verified hone par apko Gmail id select karne ka option ayega. Apko jo bhi Gmail account  select Karna hai kar len. Phir continue par click kar den.

Google pay account kaise bnaen

Step 4:- chune screen lock ya Google pin:-

Yahan par apko screen lock ya Google pin dono me se koi 1 lock select karna hai. Phir continue par click kar den. 
                     Yadi ap screen lock select karte hai to ap jaise apne phone me screen lock lagate hai waise hi yahan bhi lagana hai aur yadi ap google pin select karte hai to apko koi 4 digits ka password bana hai. Jo apko yad bhi rakhna hai. Ye wo password hai jo apko iss app ko kholne me lagega.

Google pay account kaise bnaen

Pin create karne ke bad apko kuch features dikhega jaisa niche images me diya hai. Apko screen touch karte Jana hai. 

Google pay account kaise bnaen

Google pay account kaise bnaen

Google pay account kaise bnaen

Tab apko niche image ki tarah dikhega. Yadi apke mobile me jo number save hai aur usme se kisine bhi Google pay me account bnaya hoga to rupee ke chinh ke bagal me sabhi ka nam aur image aayega. Apne jis Gmail ko select kiya tha usme apne jo nam aur profile me image lagaya hoga wahi nam aur image apko dikhega. Jaise mera nam aur image aaya hai.

Google pay account kaise bnaen



>Add Bank Account:-

Add bank account me apko apna bank account link karna hai. Yadi ap pahli bar apna google pay app kholenge to apko niche image ki tarah bank link karne ka option aayega. Jahan apko start payment par click karna hai aur yadi ap yahan se bank link nahi karna chahte hai ya galti se cancel ho jata hai to ghabrane ki bat nahi hai.

Google pay account kaise bnaen

Tab apko niche image jaisa interface dikhega. Yahan se ap +ADD BANK ACCOUNT par click  karen.

Google pay account kaise bnaen

Jaise hi ap Add Bank Account par click karenge tab apko bank select kar ne ka option aayega. Apne jis bank me account khulwaya hai usse select karne.

Google pay account kaise bnaen

Bank account select karne par ap se apke bank me SMS karne ka permission mangega. Tab apko OK par click karna hai. Jisse ki apke bank me SMS ja sakte. SMS ka paisa bhi katega jiske liye apke mobile me balance hona chahiye.

Google pay account kaise bnaen

Jaise hi ap ok par click karte hai tab apke bank account ka pata(find) kiya jata hai jaisa ki ap niche image me dekh sakte hai ki 3 process hota hai tab apke samne apka bank account number ka last 4 digits, bank name, account saving hai ya current aur UPI PIN aata hai aur uske niche UPI pin bnane ka option aayega.

Google pay account kaise bnaen

Apko ENTER UPI PIN par click karna hai. Tab apko koi bhi 6 digits ka upi pin bnana hai. Jo apko aasani se yad rahe.

Google pay account kaise bnaen

Iske bad jaise ap confirm karenge tab apke upi pin ka confirmation hoga. Tab apka account link ho jayega.

Google pay account kaise bnaen

UPI PIN bnae bina ap apne bank account ke money ko use Nahi kar payenge. Upi pin kisi bhi tarah ke transaction karne par apko UPI PIN dalne ka option aayega.



>>Google Pay Features :-

  • Tap for tez mode
  • New
  • Reward
  • Offers
  • Transaction
  • Tez mode transaction
  • Check balance
  • Invite a friend
  • Scan QR code
  • Referral code
>>Ham in sabhi features ke bare me aane wale blog me bataenge. 



Conclusion:-

Mai apko ye ap jarur istemal karne ko kahunga kyunki aaj ke time me aaisa koi bhi aadmi Nahi hoga jo money transfer nahi karta hoga. Bank me lambe line me lag kar time kharch karke bhi apko koi fayda Nahi hota par yadi ap isse lenden karenge to apko transaction charges nahi lagega bhilkul free me transaction kar payenge.
                                      Iss app se ap jyada paise bhi transaction kar sakte hai kyunki kuch app me apko 20000 rupees kahi option milta hai.

Yadi apko kisi tarah ka problem ho to ap hame comments kar puch sakte hai. Ham apki problem ko hal karne ki kosis karenge aur jald hi apke problem ka jabab dene ki kosis karenge.

Thank you 馃憤
饹玻饹并饹病饝偨饝偨饹矤饹矤饹病⁢饹病饹病饹并饹并饹矤饹病饹病饹病饹并饹病饹病饹并饹矤饹病饹并饹玻饹病饹矤饝偨饹矤饹矤饹病饹病饹并饹并饹病饹矤饹病⁢饹病饹矤饝偨饝偨饹矤饹矤饹矤饹病饹并饹并饹矤饹病饹矤饹矤饹矤饹矤

Comments

Popular posts from this blog

Phonepe KYC|| Phonepe KYC kaise karen?

Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen