Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Secure Karen instaInst par apni privacy in 2019



Secure data : photo v video sharing social media platform Instagram yuwaon ke bich kafi lokpriy hai. Aamtaur par is platform ka istemal user apni photos, videos aur stories ko share karte hain. Aisi sthiti me apke photo-video galat hathon me na pade, iske liye privacy ka bhi khyal rakhna jaruri ho jata hai. Aaiye jante hai kaise Instagram account ko jyada secure bana sakte hain......

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Hataen Location Data : 

Aamtaur par Instagram  par post share karne ke dauran user location data ko bhi share kar dete hai. Agar privacy ke lihaz se ap chahte hain ki koi apki location data ko na dekh sake , to sab se pahle apni post me jaen, wahan top me right taraf apko three dots dikhai denge.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Use open karne ke bad edit ke option ko chunen. Wahan post ke upar location ki jankari hogi, use remove kar sakte hai.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Remove karne ke liye apko apne location wale place par click karna hoga jisse apko phir se location chunne ka option aaega. Wahan par apko left side par cross ke nishan par click karna hai. 

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Jisse apka location us post se hat jaega. Phir ap tick ke nishan par click kar save kar len.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Yadi ap chahte hai ki future ke post me bhi apka location data share na ho, to iPhone user setting menu me privacy, phir 'location service' me jakar location me 'never' ke vikalp ko chun sakte hain. Iske bad kabhi bhi automatically apke location share nahi honge.

2 Factor authentication :  

Koi apke account ko galat tarike se access na kare, iske liye 2 factor authentication ka istemal kar sakte hain. Iske liye account ko login karne ke bad setting me jana hoga.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Yahan par privacy and security ka option dikhai dega. 

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Is par click karne ke bad niche security option me apko 2 factor authentication ka option milega.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Us par click karen tab apko get started par click karna hai.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Tab apko do options dikhenge jisme se apko jo achchha lage use select karen. Jaise hi ap select karenge to apko ek OTP aayega.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Use bharen. Tab apko next par click karna hai. Tab apka 2 factor authentication on ho gayega.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Phir done par click kar den. Tab apko ek aur interface dikhega. Jahan par apko kuch code dikhega. Uska ap screen shot le len.

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Karen user ko block :

Agar apko lagta hai ki koi user apko pareshan kar raha hai, to dusre social ki tarah Instagram par bhi user ko block kiya ja sakta hai. Iske liye sab se pahle us user ki profile par jaen, wahan upar right taraf three dots dikhai denge, us par click karne ke bad ' block ' ka option dikhai dega. Us par tap karne ke bad user ko block kar sakte hai.

Hastag (#) ka istemal :

Agar ap public Instagram par # ka istemal karte hai, to apki post crossponding #page par dikhne lagti hai. Halanki content ki pahchan ko badane ke liye # ek achchha wikalp mana jata hai, Lekin ap chahte hai ki photo aur video Ko har koi na dekhe, to # ka kam istemal karna faydemand ho sakta hai.

Private mode me karen switch :

Apni privacy ko Instagram par secure karne ke liye apne public account ko private account me switch kar sakte hai. Halanki iske bad kewal followers hi apki post ko dekh paenge. Iske liye apko ' privacy and security ' ke option me jana hoga. Yahan par privacy me apko account privacy ka option milega. Is par tap karne ke bad apko private account me switch karne ka option dikhai dega.
Yadi apko aur bhi apps ki jankari chahiye to ap hamare blog #Kaise Karen ke saths bane rahe. Ap hamare pahle secure data wale blog ko jarur paden jin se ap facebook, Gmail aur twitter account ko secure karne sikh jaenge.

 www.kaisekaren.online


Thank you 👍

Comments

Popular posts from this blog

Google pay || Google pay account kaise banaen|| Step by step

Phonepe KYC|| Phonepe KYC kaise karen?

Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen