Instagram video download karne aise (in desktop, iOS, android)

Instagram Video Download


Hello everyone, kaise ho ap log !! Aaj ham batane wale hai ki instagram video download kaise karen? Kyun ki aaj kal log videos ki taraf jayada bhag rahe hai kabhi YouTube par video dekhte hai to kabhi tiktok par, Din me time milne par video kabhi whatsapp par share karte hai ya status lagate hai isliye hamne socha ki instagram me bhi video kafi advance aur mazedar hota hai aur log Instagram Video Download nahi kar pate hai isliye chaliye jante hai ki instagram video download kaise karen?

Instagram Video download



Aise karen instagram video download

Photo aur video share karne wala platform instagram tezi se lokpriy hua hai. Is ki lokpriyata ka andaja isse bhi laga sakte hai ki duniya bhar me 1 arab se adhik active monthly users hain. Yahan par users family aur friends ke photo ke sath videos bhi khub share karte hai, lekin yahan se videos ko download karna chahen, to yah aasan nahi hai. Yahan par seedhe video download karne keliye bilt-in option nahi hai, isliye video download karna chahte hai to phir third party tools ki madad lenee hogee.



Instagram video download in Desktop :-

Kai sari websites hain, jo instagram videos download karne ki suvidha deta hai. Dredown (www.dredown.com) ek aisi hi website hai, jo na sirf instagram se, balki twitter, facebook,youtube aadi se videos download karne ki suvidha detee hai. Instagram video download karna hai, to sabse pahle us video ka URL (link) browser ke address bar se copy karna hoga. Phir is site ke home page par hi apko instagram, facebook, twitter, youtube aadi ke logo dikhai denge. Agar instagram se video download kar rahe hain, to iske logo par click karne ke bad apko URL paste karne ka option dikhai dega. Video ka URL paste karne ke bad Dredown button par click karen, video download hona start ho jaega. Iske alawa, Downloadgram (https://downloadgram.com/). Download insta videos (https://downloadinstagramvideos.net/en/) aur gramblastup (https://blastup.com/stats) jaise sites ki madad le sakte hain.

Instagram video download



Instagram video download in iOS and Android :-

iOS platform par videos download karne ke liye 'Blez: browser and file manager app' ki madad le sakte hain. Instagram app se bas URL ko yahan copy paste karna hoga. Iske bad download button par tap kar export video to camera roll wale option ko select karna hoga. Video ki downloading start ho jaegi. 
                               Waheen android users ke liye Instagram se videos ko download karne ke kai sare options uplabdh hain. Users upar batae gae web based options ke sath apps ki madad le sakte hain. Iske liye ' video downloader for instagram ' famous app hai. Yah free hai. Halanki free app hone ki wajah se apko yahan par kuchh ads dikhai denge, Lekin ab to aur bhi kafi apps nikal gae hai.



Agar apko mera ye article achchha laga hoto hamare site Kaise Karen ko subscribe karen taki apko aisi interesting information milti rahe...❣️
                          Agar ap privacy security ko secure karna chahte hai to secure data article ko jarur paden, isme apko facebook,twitter, Instagram, Gmail sabhi ki privacy security ko bataya gaya hai.


Thank you 👍

 #########################################

Comments

Popular posts from this blog

Google pay || Google pay account kaise banaen|| Step by step

Phonepe KYC|| Phonepe KYC kaise karen?

Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen