Bharatpe features kaise istemal karen in 2019

Bharatpe

Bharatpe app ek UPI based app hai. Bharatpe ko most secure payment platform UPI ke duara launch kiya gaya hai. Bharatpe app ko developed aur maintained NPCI ke duara kiya jata hai. NATIONAL PAYMENT CORPORATION OF INDIA(NPCI) bhaarat mein sabhee khudara bhugataanon ke lie ek chhaata sangathan hai isliye bharatpe app bilkul secure aur trusted app hai.

Bharatpe


Aaj ham ap logon ko bharatpe app ke features ko kaise use karen? Ye batane walen hai taki ap ise aasani se use kar saken. Mai apko pahle bata dun ki ye app un logon ke liye jyada upyogi hai jinke pas dukan ya koi business hai. Jab se paytm app aur others payment pay karne wale apps nikle hain tab se log offers aur kai karno se log in apps ko payment ke liye jyada istemal karne lage hain jisse dukandar ko kai apps ke QR code rakhne padte hai isliye UPI ne bharatpe ko nikal kar ye problem ko khatam kar diya hai. Jisse dukandar ab kewal ek hi QR code se lagbhag sabhi tarah ke UPI payment apps se money le sakta hai. Jisse dukandar ko jyada QR code bhi nahi rakhne padenge. Agar ap is app ko sign nahi kiye hai ya karna chahte hai par nahi kiye hai to ap link par click kar sign up process jan sakte hai.


Bharatpe features 


  • Three dots
  • My business card
  • Bank number and name
  • SMS payment link
  • Settlement
  • Suppliers
  • Khata
  • Cashback
  • Contacts
  • Order now
  • Refer & earn



Bharatpe app features use aur features ki jankariyan :- 


Ab ham apko upar ke har ke features ko use karne aur features ki jankari ko niche vistaarit rup me batate hai. Jisse apko kafi had tak bharatpe ko use karne sikh jaenge. Ham apko samjhane ki puri koshish karenge.....

Bharatpe


Three dots :- 

Sab se upar apko left side me three dots ka option milega. Jise click karne par apko kuchh options milte hai. Jaise,,,,,,,,,

  • Do you have a printed QR ?
  • Reports
  • Settings
  • Download QR
  • Contact us


Bharatpe


Do you have a printed QR? me ap ko just samne YES/NO ka option milega. Jisse  ap apne QR code ko photocopy kar paenge. Jise ap apne dukan me laga kar payment le sakte hai.

Reports me click karne par apko calendar dikhega. Ap jis month me jitne ka payment liye hai, kab liye hai ,kitna liye hai,kis se liye hain aur nagad/udhar hai ye sabhi apko yahan par dikhega. Yahan par apko right side top me setting ka symbol dikhega jisse ap apne account ki sari jankari dekh sakte hai. Setting symbol ki niche apko 2 options dikhegi pahle settlement aur dusra reports ka. Settlement se ap months ka payment aur kisse liye hai aur kis ka baki hai ye dekh sakte hai aur reports me ap months ke din ke mutabik dekh sakte hai. Jaise ham log ghar ki cheejon ke time ko yad rakhne ki liye calendar me tick lgate hai. Sab se niche apko VIEW STATEMENT par click kar ap months ka Kitna payment bank me transfer kiye hai wo amount dekh sakte hai.

Settings me click karne par apko apka name, mobile number, sign out,add other mobile number aur notification ko band karne ka options dikhega. Ap chahen to mobile number change kar sakte hai ya notification ko band kar sakte hai.

Download QR pe click karne par apko apka QR code dikhega jise ap right side top me download ke symbol par click kar download kar paenge. Ise download karne par apko bar bar app nahi kholna padega ap direct image se hi money le paenge aur Saath hi ap ise Apne graahak ko QR code image send kar ke bhi money le paenge.

Contact us ke niche apko Bharatpe ki taraf se support ke liye email diya gaya hai jise email kar ap apne problem ko hal kar paenge.



My business card :- 

My business card par click karne par apko apka nam, mobile number, email aur location dikhega aur in sabhi ke thik niche edit aur whatsapps sharing ka options milta hai. Edit par click kar ap nam, mobile number aur location sabhi edit kar sakte hai aur yadi ap kissi se paisa lena chahte hai to is card ko share bhi kar sakte hai.



Bank number and Name :- 

Is option par click karne par apko apne bank account name, branch name, account number aur IFSC dikhega. Iske thik niche apko ek button dikhega jise ap right/left karke ap isse apne bank account me money transfer karne ka time set kar sakte hai aur iske thik niche apko contact us me email aur contact number milega jisse ap call karke bhi apne problem ko puchh sakte hai. Yadi apko kisi karan varsh apna bank account change karna ho to ap yahan se kar paenge. Jiske liye apko setting wale symbol par click karna hai tab apke samne ek aur window khulega jisme apko new account ka information aur purane ka bhi kuch information fill karna hoga.



SMS payment link :- 

Bharatpe ka ye option mujhe kafi achchha lagta hai kyunki isse ap massage karke bhi payment le sakte hain. Isme ap click karenge to apko sab se pahle apke contact ko access karne ke liye allow mangega use allow karenge to apko contact list dikhega. Apko jisse paise lena hai uske number ko select kar ke amount bharen aur send kar den aur agar apka koi new grahak hai jiska number apke mobile me save nahi hai to ap uske number ko add customer par click kar customer ka name, mobile number aur amount bhar kar send kar sakte hai.



Settlement :- 

Ye option apko left side corner par milega. Is par click karne par apko har din ka settlement dikhega ki apne kis din kis se kitna paise liya hai. Is option ko hamne pahle three dots ke report section me bataya hai.



Suppliers :- 

Yahan ap suppliers ki sari jankari ko dekh sakte hai. Jaise hi ap suppliers wale option par click karenge to apko ek search bar, date,name, amount, suppliers, bills aur dues dikhengi.

Ab jante hai ki suppliers option ko use kaise karen. Yadi apne suppliers ka name add kiya hoga to apko date, name aur amount ke jagah par suppliers ka name,date aur amount jarur dikhega.

Bill wale option me apko suppliers ka bill dikhega aur yadi ap suppliers ka bills add karna chahte hai to add bill par click karen to apko suppliers ke bill ka amount,bill number,bill ka image, select suppliers aur payment kaise kiya hai cash, cheque, bank transfer ya udhar(due) kiya hai aur udhar kitne time ke liye liya hai use bhi select kar ise save bill par click kar save kar len. Agar apne suppliers ka name nahi add kiya hai to yahan par hi suppliers par click kar ya suppliers ke option me ja kar suppliers ki sari jankari bhar ke save kar de taki ap bill me direct suppliers ko add kar sakenge.

Bharatpe

Ye option is liye diya gaya hai ki ham apne bill ke khone ya rakhne ki paresani se bach sake.



Khata :-

Bharatpe ka ye option apko waisa feeling deta hai jaise hamlog kisi dukan me udhar khata chalate hai bilkul waisa hi hota hai.

Jaise ap is option me click karte hai to apke samne calculater jaisa interface aaega. Yahan ap udhar/cash dono tarah ke information ko save rakh sakte hai. Ap jo bhi sell karte hai. Uska jitna price hai use apko calculater wale option me type karna hai. Ye process bilkul waise hi karna hai jaise ap calculater me karte hai. Phir agar ap cash le rahe hai to cash wale option pe click karen(amount jodne ke bad). Jisse apka bikri kab hua aur kitne ka hua ye data apke khata book ke cash sale section me jma hota hai. Jisse apko hisab karne me aasani hogi.

Agar ap saman ko udhar me sell karte hai to apko udhar sale par click karna(paisa jodne ke bad) hai tab apko SMS payment link wala hi option khulega yahan ap jis aadmi ko udhar de rahe hai use select kar massage send kar den. Jisse ye data apke khata book ke udhar sale wale section me add ho jaegi. Agar wo aadmi pura paise send nahi karta hai to ye sabhi jankari apke khata book ke udhar sale wale section me likha aa jaega ki kitna jama hai uar kitna udhar.



Cashback :- 

Ye option abhi available hai sayad aage chalke ye option dekhne ko nahi mil sakta hai. Is option ko open karne par apko kuch sawal ka jabab dena hai. Har sawal ke bad apko ek scratch card milega. Jisme apko 100 rupees tak mil sakta hai. Ap is paise ko right side top me rupees ke symbol par click kar dekh sakte hai jo direct apke bank account me jama ho jaegi.

Bharatpe

Bharatpe



Contacts :- 

Contacts me apko apne aas-pas ke sabhi bharatpe users dikhenge. Jaise hi ap is option par click karenge to apke samne location allow karne ka option aayega. Allow karne par map khulega jo apke location ke nikat ka sabhi users dikhega. Yadi ap customers ko dekhna chahte hai to customer par click karen to apko customer ka name aur balance dikhega. Yadi ap near by par click karte hai to apko shops ke name, direction,call number aur whatsapp  ka option dikhta hai jisse ap shops se jaise chahen contact kar sakte hai aur yadi ap suppliers par click karte hai to ap ko suppliers ka name aur total business dikhega.


Order Now :- 

Ye option apko scroll karne par niche milega. Jisse ap free me apna QR code manga sakte hai. Iske liye apko kewal order now par click karna hai aur apna business name, phone number, shop number, street address, area, landmark, district, state aur pin code bharna hai. Phir confirm par click kar dena hai. Tab apka bharatpe QR code kuch din me aa jaega.



Refer & earn :- 

Ye option bhi apko scroll karne par niche milega. Refer now par click karne par ap apne referral link ko whatsapp par share kar 100 rupees earn kar sakte hai. Har ek refer ka 100 rupees milta hai lekin ye paisa tabhi apko milega jab wo aadmi apke link se bharatpe app ko download karega aur use istemal karega. Tab apke bank account me ye paisa chala jaega.


Bharatpe app se labh (benefits) :-

  1. Money transaction karna bilkul free hai.
  2. Money turant apke bank account me transfer ho jata hai.
  3. Sign up karne par apka koi documents nahi lagta.
  4. Money transfer ka koi limit nahi.


Conclusion :-

Bharatpe abhi ke time me dukandaron ke liye bahut hi labhdayak hai kyunki aaj kal din parti din online payment karna badta ja raha hai. Yadi ap ka koi bukan hai to apke liye ye bharatpe app kafi upyogi ho sakta hai. 




Yadi apko abhi bhi kisi tarah ka bharatpe app se sambandhit koi problem ho to ap hame comments kar puchh sakte hai ya bharatpe ke customer ko call kar bhi puchh sakte hai.


Thank you 👍

𛲢𛲢𛲢𛲣𛲣𛲣𛲣𛲢𛲢󠀠𛲢𛲢𛲢𛲢𛲢𛲢𛲢𛲢𛲢𛲢󠀠𛲢𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲢𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲣𛲢⁣𛲢𛲢𛲢𛲣𛲢𛲢⁡𛲣

Comments

Popular posts from this blog

Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Instagram video download karne aise (in desktop, iOS, android)