Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen

Bhim
Bhim app central government duara launch kiya gaya hai. Is Bhim app ke jariye ap kisi bhi bank se kisi dusre bank me paise transfer kar sakte hain. Bhim app se ap ko transaction charge nahi lagta hai. Yadi ap aksar money transaction karte hain to ap is app ke bare me jarur jane.
Bhim app images

  1. Bhim app kya hai?

Ye wo app jo central government ne launch kiya hai. Ye bhim app launch karne uddesh ye tha ki India ko cashless banaya jaye. Is app ki madad se ap kisi bhi bank se ap kisi dusre bank me money ghar baithe transfer kar sakte hai.

> Download Bhim app from play store :- click here

2. Bhim app ki khubiyan:

  • Ye app saptah ke sato din work karti hai(24×7).
  • Isse money transection karne ka charge nahi lagta hai.
  • Isse ap turant apne bank account se money send aur receive kar sakte hain.
  • Isse ap kewal 1din me ₹20,000 rupees transaction kar sakte hai jise ap do bar 10,000-10,000 rupees kar transaction kar payenge.
  • Yadi aage chal kar sarkar isme jyada transaction karne deti hai to uski bhi jankari ham apko jarur pahuchaenge.
  • Bhim app bahut sare bhasha uplabdh karata hai.

bhim app use

Jaise hi ap Bhim app kholte hai waise hi apko bhasha(language) select karne ka option ayega.
Bhim image
Ap ko jo bhasha select kar na hai use select karen aur NEXT par click karen. Jaise hi ap next par click karenge tab apko kuch is tarah ka interface dikhega .
Bhim app images
Phir next par click karna hai. Tab apko kuch information wala interface khule ga. Jo niche image me diya hai. Tab apko phir NEXT par click karna hai.
Bhim images
Tab apko phir ek interface aayega jahan Let's get started likha hoga jahan apko click karna hai.
Bhim app images
Tab apko verify mobile number ka option aayega yahan par apko ek bat ka dhiyan dena  hai ki apko wahi mobile number select karna hai jo apne apne bank account me link karwaya hai.

Note:- yadi ap apne bank account me mobile number link  nahi kawaya hai to link karane ke bad hi is app ko chalu karen warna apka Bhim app start nahi hoga.
Bhim images

Tab ap jaise hi sim number select karenge tab apko Next par click karne par apke mobile se ek massage send hoga apke bank account ko access karne ke liye. Apke mobile se SMS ka paisa kat jayega. Tab apko kuch is tarah ka interface dikhega.
Bhim app images
Kabhi kabhi verification 1 se 2 bar me hota hai. To ap ghabraiyega nahi. Phir se try karne hai. Jaise hi apka mobile number verify ho jata hai tab apko Register Passcode ka option ayega to usme apko Bhim app kholne ke liye password banana hai.
Bhim app images
Apko 4 digits ka passcode banana hai jo apko yad bhi rkhan hai taki ap dubara app khol sake. Ab apko apna bank select karen ka option aayega usme sa apne jo bank me khata kholwaya hai use select karna hai.
Bhim images
Jaise hi ap bank select karenge to apko Next ka option aayega uspar click karna hai. Tab apko apka bank account dikhega usi ko select karne par apka bank account me tick jaisa ho jayega. Kuch is tarah ka hoga.
Bhim images
Bhim features ka istemal sikhe:-  click here
Bhim images
Jaise hi ap verify bank account par click karenge tab apka Bhim app start ho gaye ga. Jisme apko kuch  bhim app features dikhenge. 
Bhim app images
Jiski jankari apko aane wale blog me denge. Jaise bhim app send, Bhim receive, bhim QR code and many more.
Yadi apko Abhi bhi koi problems ho to ap hame comments kar puchh sakte hai. Jiska ham jald hi answer dene ki kosis karenge.


Thank you 👍
⤘⤘⤘⤘⤦⤦⤱⤗⤥⤦⤦⤦⤦⤦⤦⤦⤧⤧⤧⤧⤧⤝⤘⤘⤗⤘⤗⤥⤖⤖⤖⤖⤠⤕⤣⤣⤣⤖⤕⤖⥔⤖⤦⤦⤦⤦⤦⤦⤦⤦⤦⤦


>>Yadi ap aur bhi chijen ki jankari chahte hai to niche diya gaya hai.

Paytm kyc:-  click here

Phonepe account:-  click here

Phonepe KYC:-  click here



          










Comments

Popular posts from this blog

Google pay || Google pay account kaise banaen|| Step by step

Phonepe KYC|| Phonepe KYC kaise karen?