Ubersuggest : Free SEO, keyword and backlinks tool in Hindi

Ubersuggest


Ubersuggest bset SEO, keyword research aur backlinks checker tool hai. Ubersuggest bilkul free tool hai. Ubersuggest ko use karna kafi easy hai. Aaj ham apko Ubersuggest ki sari jankari aur istemal batane wale hain ki kaise keyword research, SEO check, competitors link info aur backlinks check karen. Ye sari jankari dene wale hai.

Ubersuggest

Ubersuggest kya hai?

Ubersuggest ek keyword research , SEO checker aur backlinks checker hai. Ubersuggest ke co-founder Neil Patel hain. Ye site 2017 me publish hai. Jo kafi pahle se work me thi. Is site ko har day kafi users use karte hai. Ye site day by day increase kar rahi hai kyunki ye free me achchhe tools provide kara rahi hai. Ye kafi badi company hai.
                 

Ubersuggest features :


#1. Ubersuggest

  • Overview
  • Keyword ideas
  • Content ideas


#2. Traffic Analyzer


  • Overview
  • Top pages
  • Keywords


#3. SEO Analyzer


  •  Backlinks 

Ubersuggest


Jaise hi ap is website ko open karte hai to apko search bar, country select karne ka option, top me website's ke blog,tool, contact about aur saath hi sare features dikhte hai. Yahan a Ab ham apko ek-ek features ki puri jankari dete hain aur saath hi iske istemal ko bhi janenge .......


#1. Ubersuggest

Yahan apko three features milte hai jise hamne upar de rakha hai. Yahan apko is feature ki puri jankari niche step by step mil jaegi.


*Overview :-

 Jab ap koi keyword ko janne ke liye search bar me type kar aur country ko select kar search karenge to apko us Keyword se sambandhit sari jankari dikhegi aur saath hi  kuch suggested keyword bhi dikhegi.
                        Jo keyword search karenge uska apko search volume, SEO difficulty,paid difficulty aur cost per click (CPC) dikhegi aur saath hi volume low hai ya high, SEO difficulty low hai ya high air paid difficulty low hai ya high ye sabhi likha dikhega. Phir just niche text ke rup me keyword rank karne ka chance percentage me batata hai aur competition kaisa hai ye batata hai.

Ubersuggest

Ab apko just niche keyword ka volume graph dikhega. Jise ap touch kar ke dekh paenge ki kis month kitna traffic hai. Graph ke thik niche apko keyword ideas milta hai. Jahan apko do tarah ke keyword milte hai ........

  • Suggestions
  • Related


Ap jo chahe dekh sakte hai. Bus text ko touch karen keyword apke samne aa jaega aur yadi ap VIEW ALL KEYWORD IDEAS. Pe click karenge to apko puri keywords ki list mil jaegi. Jise abhi ap niche keyword ideas me dekhenge.

Jane free tool keyword everywhere ki puri jankariyan :- click here

*Keyword Ideas :- 

Jab ap search bar me keyword search karte hai to apko jyada keyword find karne ke liye apko is feature ka istemal karna hoga. Yahan apko keyword search bar me likh kar keyword ideas par click karna hai jisse apke samne sabhi keyword aa jaenge. 

Yahan bhi apko keyword ke saath uska vol, SEO difficulty,paid difficulty aur CPC dikhta hai aur sath hi waise website ke URLs dikhte hai jo google ke top 100 me aate hai aur wo sabhi sites is keyword par rank kar rahe hote hai. Isse ap ko ye fayda hota hai ki apko apne competiter ka pata saath me hi chal jata hai. Ubersuggest bilkul wahi sites yahan deta hai jo sach me google ke top 100 me aate hai kyunki maine khud check kar ke dekha hai. Apko ye sabhi site ke URLs ke samne site ka monthly visitors, social share aur domain score bhi dikhta hai.

Ubersuggest
     
Apko keyword ke section me keyword ke thik samne apko volume, CPC, SEO difficulty (SD) aur paid difficulty ( PD) dikhega. Her ek keyword ke samne apko arrow bhi dikhegi jise ap touch kar ye pata kar paenge ki is keyword par kon kon websites rank kar rahi hai aur competition kitna hai? Kitna chance hai top 20 me rank karne ka, ye sabhi jankari apko website section ke thik upar me text ke rup me milega. Jab bhi ap kisi keyword ke samne ke arrow ko touch karenge to apko keyword overview text ke niche apko competition aur top 20 ke chance ko percentage ke rup me likha dikhega. Ap in sabhi keyword ko copy kar sakte hai.

*Content ideas :- 

Jab bhi ap koi keyword ko search karenge to content ideas hamesa enable rahta hai kyunki apko ubersuggest me jo bhi keyword aur other chijen provide karai jati hai wo sabhi content hi hota hai. Is liye apko isme koi bhi chij karne ki jarurat nahi hai.



#2. Traffic Analyzer



*Overview :- 

Is overview me apko apne competiter ke site ki har jankari milegi aur saath hi ap apne site ki sari jankari dekh sakte hai. Yahan ap apne site ki analysis kar paenge. Is option ko use karne ke liye apko search bar me apna/competitors ke URL ko dalen aur country ko select karen. Tab phir search karen. 

Jaise hi ap url ko dalte hai to apko kaee sari jankari dikhegi. Sab se pahle apko site ka organic keyword, organic monthly traffic, paid keywords aur paid AD cost milega. Is se apko ye jankari ho gaegi ki ye site ( jise apne search Kiya hai) me organic keyword kitne hai aur ye organic keyword ka number good hai ya bad, organic traffic kaisa hai, paid keyword use kiya hai ki nahi aur sath hi apko paid AD cost bhi dikhegi jisse apko pata chalega ki wo site kitna paise apne site ke parchar (ads) ke rup me google ko money deti hai. Phir ap graph ki madad se jan paenge ki kitna traffic kis-kis month me aa raha hai.

Ab apko site ke analysis ka sab se aham chijen milti hai jo is prakar hain.......

  • Domain score
  • Backlinks (do follow/no follow)
  • Referring domains
  • .gov and .edu links


Domain score se apko ye pata chala hai ki ye site kitna perfect hai. Jitna jyada website ka quality hoga utna hi uska domain score hoga jisse site aasani se google me rank karega.

Ye sab se jyada aaham hota hai kisi bhi site Ko bit karne ke liye ki us site ka backlinks kitna hai. Log iske liye paid tools use karte hai kyunki yadi ap apne competiter ka backlinks jante hai to apko use bit karne me aasani hoti hai. Yahan par apko dono tarah ke backlinks ke number dikhai dete hai: Do follow aur No follow. Iske bare me ham apko backlinks wale option me aur jankari denge.

Referring domains me apko kewal wo number dikhai denge jis-jis ko competiter ke site ne backlinks de rakha hai aur .gov and .edu links me bhi apko kuch number dikhega jo ki backlinks ko hi batata hai ki apne best site .edu/.gov se kitna backlinks le rakha hai.

Iske just niche apko SEO keywords ranking ka graph milta hai. Jis se ap ye jan paenge ki kis mahine kon sa keyword google page ke kitne position par rank kar raha hai. Iske liye apko touch karna hai bas apke samne ek pop up jaisa list aaega jisme keyword ka position likha hoga. Graph me apko position ke mutabik rank bhi diya dikhega.


  • Top SEO pages

Yahan apko wahi pages dikhengi jiska SEO puri tarah good hoga.Yahan apko kai sare features dikhte hain. Sab se pahle SEO title url milta hai, jisme apko site ka title aur uska url dikhta hai, jisse ap idea bhi le sakte hai ki apko kaise title likhna hai aur url me keyword kya dalna hai? Phir monthly visis me apko views number dikhta hai aur har number ke bagal me apko view all likha dikhega use touch karne par apko us post ka kon sa keyword rank kiya hai?, volume kya hai?, Keyword ka rank kya hai?, Visitors kitne hai?, CPC kitna hai aur paid difficulty kya hai ye sabhi dikh gaenge.
Apko in sabhi ke upar me me text ke rup me likha dikhega ki ye site ko google ki taraf se kitna visitors mil raha hai is keyword par. Yadi ap is keyword ko copy karna chahen to copy kar sakte hai ya export to CVS par click kar bhi download kar sakte hai, par yadi ap mobile se ise use karte hai to ap copy karen kyunki CVS file mobile me direct nahi khulta hai.

Monthly visit ke thik bagal me apko backlink ka number dikhega jiske bagal me apko view all likha dikhega use touch karke us particular post ka sara backlinks source dekh paenge ki usne kitna backlinks liya hai is post ke liye.

Jaise hi ap view all par click karte hai to apko upar me text likha dikhega jisme backlinks ka number aur ubersuggest ka suggestion hoga. Phir apko niche source page title url me wo site ke URLs aur name honge jisse backlinks liya gaya hoga. Ap chahen to ap bhi yahan se har ek site se backlinks le sakte hai. Phir domain score, page score, link type, anchor text aur first seen bhi dikhta hai. Ap sare backlinks provide karne wale site ko copy ya export to CVS par click kar download kar sakte hai.
                               Backlinks section ke bad apko social sharing dikhta hai, ki site ke duara kitna facebook aur pinterest par link share ki gaee hai. Jo apko numbers ke rup me dikhengi.


  • SEO keywords


Yahan apko waise keywords dikhte hai jo site ka rank kiya hua keywords hoga. Ap ise copy kar sakte hai. Har keyword ke aage apko keyword ka volume, position aur monthly visit dikhte hai. Jisse apko kafi ideas mil gaengi.



*Top Pages :- 

Yahan apko wahi chijen milengi jise hamne upar top SEO pages me bataya hai isliye ham apko dubar wahi baten yahan par nahi bta rahe hai.



*Keywords :- 

Ye baten bhi hamne SEO keyword me upar bata chuke hain yahan ham iske kuch aur chijon ko batenge. 
Keywords section me apko yahan par sirf URL alag se de rakha hai aur yahan ap keywords Ko copy bhi kar paenge. Iske liye apko niche copy par click kar kar paenge. 



* Backlinks :-

Ye option kafi khas hota hai har kisi  blogger ya WordPress walon ke liye. Backlinks ko check karne ke liye log kafi money kharch kar paid tools use karte hai. 
Ubersuggest me ye option pahle nahi tha abhi kuch dinon pahle ye site par aaya hai. Jisse kafi had tak backlinks ka analysis kar sakte hai. 

Yahan apko pahle source page title and url|Target page nam ka ek section milta hai jisme apko pahle post title, source link aur target link dekhne ko milega aur link ke samne apko NF( No follow ) likh bhi dikhega aur Do follow link ke aage kuch nahi likha dikhega. Yadi apko no follow/do follow backlinks bana ho to ap yahan se source link par click kar backlink bana sakte hain aur sabhi link/post ke aage apko domain score, page score, link type, anchor text, first seen aur last seen dikhegi. Yadi ap backlinks banate hai to apko ye khayal rakhna hai ki ap usi site se backlinks banaen jiska domain score jyada ho. Jise ap yahan se dekh paenge.

Link section ke thik upar apko apko link ya other word ko search bar me search kar sakte hai aur sath hi apko advanced filter, all links, follow (Do follow),no follow, one link per domain aur export to CVS ka option dikhega jise ap har tarah ke domain aasani se khoj paenge.

Aur sab se upar apko search kiye link ka pura link analyse milta hai. Apko domain score, backlinks, referring domains aur organic monthly traffic ka list dikhega. Yahan se ap ye jan paenge ki domain score achchha hai ya nahi, website ka bit karne ke liye kitna backlinks banane honge ye sabhi ideas mil jayegi. Jo apke liye khafi useful hai.



Conclusion:- 

Ye site abhi tak app me nahi aayi hai. Ye site kafi purani aur trusted hai isliye mai apko is site ko recommend karunga ki ap bhi ise use kar ke dekhen kyunki ye bilkul free hai aur main Ise Abhi bhi use kar raha hun. Ye beginners ke liye kafi useful aur easy hai.



Ap hame comments kar ke jarur baten ki apko meri ye blog kaisi lagi. Yadi apko aise hi chijon aur tools ki jankari chahte hai to hamare blog www.kaisekaren.online ko jarur subscribe kare taki apko update milti rahe.

Thank you 👍





Comments

Popular posts from this blog

Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Instagram video download karne aise (in desktop, iOS, android)