mCent browser free recharge || mcent browser apps kaise use karen

mCent Browser Free Recharge

Aaj ham mCent browser ke features ke bare me batane wale hai. Jisse apko istemal karne me aasani hogi aur ap isse aasani se money earn kar payenge aur mCent browser free recharge kar payenge. Ye ap sabhi keliye kafi labhdayak hai kyunki aaj ke time me recharge karna hi padta hai jab se SIM companiyan ne validity wala skim nikala hai tab se recharge karna jaruri ho gaya hai isliye aaj ham is app ke bare me bata rahe hai jisse ap money earn kar usse recharge kar payenge.

mCent browser free recharge


mCent Browser Free Recharge

> mcent Browser Login  :-

Sab se pahle aap is app ko download nahi kiya hai to download karne jis ki link hamne niche de rakhi hai ya ap chahe to play store se download kar sakte hai jis ke liye apko search bar me likhna hai mCent browser aur phir download kar len.

mCent browser link :- click here

Tab ap apne mCent Browser ko open karen. Tab apko mCent Browser logo dikhega phir ap se kuch allow mangega jo apko allow kar dena hai. Allow nahi karne par ap app ko use nahi kar paenge. Phir apke samne sign up karne ke liye 2 options aaenge ek Facebook aur dura mobile number. Ap jisse bhi sign up karna chahe kar sakte hai lekin hamne mobile number se kiya hai. Ham apko dono options se batate hai.

mCent browser free recharge

Mobile number wale option me apko sab se pahle apna mobile number type karen aur verify number par click karen. Tab apko ek naya interface dikhega jaisa ki niche image me diya hai.

mCent browser free recharge

Verify number par click karne par apke mobile number par ek OTP aaega jis se apko copy kar OTP wale place par paste kar dena hai aur phir confirm par click karna hai. Tab apka mcent browser login process complete ho gaega.

Facebook wale option me apko kewal us par click karna hai tab apke samne Facebook login page khulega jisme apko apna Facebook login karna hai tab apka mCent browser login process complete ho gaega.
                               Facebook option ke just niche apko I HAVE A PROMO CODE ka option dikhega isme ap kisi ke referral code ko dalne par extra points milenge. Mera referral code BXT85OPG hai. Jise use kar extra money earn kar sakte hai.

mCent browser free recharge kaise istemal karen

mCent browser app ko use karna bahut hi easy hai. Ap UC browser ko jarur use kiya hoga. Agar nahi bhi use kiya hoga to koi bat nahi. Yahan ham apko iske use aur isse kaise money earn karen wo sabhi jankari puri details ke saath niche milegi. Yadi ap aise hi apps ke bare me janna chahte hai to hamare blog Top 5 money earning apps in India ko jarur dekhen.

Jaise ap is app me login ho jaye hai to apko kuch niche image jaisa interface dikhega. Yahan apko kuch options dekhenge jaise UC browser aur Firefox me hota hai. Yahan apko kuch update news aur kuch apps dikhega. Jise ap use kar money earn kar paenge.

mCent browser free recharge

Sab se pahle apko upar me left side me earn +10,000 points ka option dikhega jahan apko refer karne ka option dikhega yahan se ap ap ristedaron aur doston ko share kar money 10,000 points earn kar paenge. Jo 10 rupees ke barabar hota hai. Ye money apko tabhi milenge jab apke referral link se koi is app ko download karega aur login process pura hone par apko ye 10,000 points mil jaenge. Yahan ap apko referral code bhi milega jise ap kisi ko share karenge aur wo aadmi apke code ko apne app me dalega to bhi apko 10,000 points milenge. 

mCent browser free recharge

Search bar ap koi bhi chij search karenge to apko search ke badle points milenge. Ap jitna jaya der tak search karte rahenge apka points badta jayega.
                      Search bar ke thik niche apko kuchh app dikhenge jise ap use karne par bhi points earn kar sakte hai.
                      Apko app ke niche update news milenge jise padne par jayada points milte hai. Yadi ap news online paste hai to apko padne ke saath saath money bhi milenge.
                      Sab se niche apko kuch settings karne ke options dikhenge jo is parkar hai Home Page, page numbers, app setting, search bar aur apko back button milega. 
                     News page me ap jaise hi niche ki or scroll karenge to apko daily kuchh points bonus me milte hai.

mCent browser free recharge

Ab ham apko sab se last option m points ke bare me batate hai jo apko sab se upar me right side me dikhega. Us par click karen. Jaise hi ap click karte hai to apko niche image jaisa dikhega. Yahan apko 3 options dikhenge,

  • Recharge
  • Earn more
  • Passbook



mCent browser free recharge

Recharge :- 

Yahan ap ko kuch recharge plans dikhenge jo points badne par sabhi ke lock khulte jaenge. Pahle isme ₹10,₹20 aur ₹30 sabhi ka recharge hota that lekin an amount bada diya hai. Yahan ap data ya balance dono recharge kar sakte hai. Apne jo number se register kiya hoga wo number yahan par dikhega. Yadi ap isi number par recharge karna chahte hai to direct ap plan chune aur operator chune aur recharge kar len ya ap tir ke nishan par click kar apna number badal kar dusre number par recharge kar paenge.

Earn more :-

Yahan se ap kewal invite kar paenge aur apne kitna points earn kiya hai wo dekh sakenge.

mCent browser free recharge

Passbook :-

Passbook wale option me bhi apko kewal apka recharge dikhega jo apne kiya hoga. 

mCent browser free recharge

Maine isse bhi jyada recharge kiya hai lekin mcent browser latest version aane ke karan mera pura earning proof khatm ho gaya.

Conclusion :-

mCent browser free recharge ko hamne isliye recommend kiya hai kyunki aaj ke time me har log kuch na kuch jarur search karte hai, News paste hai aur apps use karte hai par apko uske badle kuch nahi milta hai lekin yadi ap wahi kam mCent browser app par karte hai to apko iske badle kuch money earn ho jayega aur ap uska recharge kar paenge. Ye ek valuable app hai jo kafi purana hai. Is app se ap Paytm money nahi kama sakte hai.



www.kaisekaren.online


Thank you 👍




Comments

Popular posts from this blog

Google pay || Google pay account kaise banaen|| Step by step

Phonepe KYC|| Phonepe KYC kaise karen?

Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen