Freecharge features information || freecharge app features kaise use Karen?

Freecharge features information

Aaj ham batane wale hai freecharge features information ke bare me. Isme ham freecharge ki har ek features ko bataenge aur us features ka istemal bhi  bataenge. Agar ap freecharge use karte hai aur uske features ko use karne sikhna chahte hai to ise pura paden.

Freecharge features information

freecharge app download :-

Download karen freecharge app from play store. Hamne niche link de rakha hai ya ap play store ke search bar me likhen freecharge app aur download kar len. Ap mera referral code R316MX9 use kar sakte hai

Freecharge app download link :- click here

Freecharge features :-

  • UPI Send money
  • Receive money
  • Add money
  • Home
  • Reminder
  • Pay Merchant
  • Offers
  • Account


Freecharge home image


Freecharge features information

> UPI Send money:-

Send money wale option par click karen. Tab apko bank account link karne ka option dikhega ya add UPI ka option dikhega. Yadi ap pahle bank account link kiye honge to apko aisa koi option nahi dikhega balki direct money send karne ka bahut options dikhega aur yadi ap bank account link karna chahte hai to add UPI ya add bank account par click karen lekin ap ye yad rakhe ki bank account add karne se pahle apko wahi number se is app me sign up karna hai jisse number se apka bank account link hai. Tab ap jaise hi click karenge to apka bank account badi aasani se link ho gaega. Tab apko niche diye image ki tarah dikhega. UPI send money ke har ek features ke use ko bataya gaya hai.
               
Freecharge UPI send money image

Freecharge UPI send money features uses

  1. Send money
  2. A/c + IFSC
  3. Check balance
  4. Three dots

1. Send money:- Yahan apko sab se pahle send money to ka option dikhega jisme ap jise money send karna chahte hai to uska Bhim UPI ID ya mobile number type kar money send kar sakte hai aur yadi apko number yad nahi hai to ap aadmi ke face wale place par click karen to apka contact list khul jayega. 

                                Iske just niche apko scan QR code ka option dikhega jo sab se easy way hai money send karne ka. Jaise Paytm me rahta hai usse bhi advance tarika hai is app me. Jise hamne niche ek ke bad ek ko samjhane ki koshish ki hai.


>> Send money :- Isme kuch options hai jo niche likhi hai,


  • Scan QR code
  • Tonetag
  • Show QR code
  • On the go pin
  • Saved & pending

> Scan QR Code :-

Scan QR code ko click karne par apko money pay karne ka bahut sare options milenge. Jise hamne niche ek ke bad ek ko samjhaya hai.

Freecharge scan QR code image

  • Scan QR Code :- Yahan ap QR code ko scan kar money send kar sakte hai ya kisi ne apko QR code ka image bheja hai to use bhi select kar scan kar money send kar sakte hai iske liye apko QR CHOOSE FROM GALLERY par click karna hai.

  • Tonetag :- Yahan ap waise hi transaction kar payenge jaise google pay ke tez mode me karte hai ya jaise SHAREit, Xender me files send karne me karte hai. Apko jise money send karna hai to uske mobile ka bhi tonetag on rakhe aur apna bhi on rakhe tab money receive karne wale ke mobile ke najdik le jane par uska profile aur 1 button dikhega use click karen aur amount bhar kar money send kar den.

Freecharge tonetag image

  • Show QR Code :- Yahan apko money receive karne ka QR code dikhega jise ap 1 minute tak use kar sakte hai uske bad apka QR code change ho jayega. 

Freecharge money receiver QR code image

  • On The Go PIN :- Yahan se bhi ap money pay kar sakte hai ya receive bhi kar sakte hai. Yadi ap kisi dukandar ko money send karna chahte hai to bas apko uske mobile me apna freecharge registered number type karna hai aur isme likhe on the go pin ko uske mobile me type kar na hai tab apko turant massage transaction ka aayega. Ya ap niche likhe HOW TO USE  par click kar video ya article pad ya dekh sakte hai.


Freecharge on the go pin image


  • Saved & pending :- Saved me apko kewal wahi transactions dikhega jo apne kiya hoga aur pending me apko wahi transactions dikhenge jo puri tarah se transaction nahi hua hoga.


2. A/C +IFSC :-  Ye bhi ek money transaction karne ka option hai. Yahan se ap waise logon ko bhi money transfer kar sakte hai jo freecharge app account nahi banaya hai aur jo banaya hai use bhi kar sakte hai. Ap ne bank account ya freecharge wallet se.
                      Isme sab se pahle apko jise money bhejna hai uska IFSC code bharna hai phir uske niche account number aur last me us aadmi ka nam bharna hai phir confirm par click kar de tab apke samne naya interface khulega jisme apko amount bhar na hai aur proceed kar dena hai. Yadi ap bank account se money send karenge to apko UPI PIN bhi dalne ka option aayega.

Freecharge a/c + IFSC option image

3. Check balance :-    

Check balance me ap apne bank account ka balance check kar sakte hai. Jaise hi ap check balance par click karenge tab ap ke samne UPI pin dalne ka option dikhega. Yadi ap balance check karna chahte hai to UPI pin dal kar balance check kar sakte hai.

4. Three dots :-  

Three dots apko three options dikhenge. Pahla Bhim UPI settings, dusra copy UPI ID aur tisra blocked users hai. 
                           Bhim UPI settings me apko bahut sara options milta hai. Jiske bare me ham apko ACCOUNT wale option me vistar se bataenge.
                            Copy UPI ID me ap kewal apne freecharge app UPI ID ko copy kar paenge.
                            Blocked users me apko wo sabhi freecharge app users dikhenge jise apne block kiya hoga.

Freecharge UPI money send image

Receive Money :-

Receive money me apko do options milte hai pahla show QR code aur dusra Request money hai.
Show QR code wale option se ap money receive kar sakenge. Ap is QR code ko download wale option par click kar download kar sakte hai. Taki ap jisse money lena chahte hai use wo QR code image bhej kar money le paenge ya ise QR code ko share bhi kar sakte hai aur yadi apka koi company hai to ap Enroll as a business par click kar apna freecharge account bana sakte hai jo apke business ke liye hoga. Business wale account me ye fayda hai ki ap isme jitna ka transaction kar sakte hai aur apko is money Ko bank account me transaction nahi karna padega wo apne ap apke bank me chala jayega. Iske liye apko enroll now par click kar apne company ka sara details bharen aur apply kar den tab apke company ka freecharge account ban jayega.

Freecharge receive money interface image

Request money wale option me ap jisse money ka request karna (money karj mangna) chahte hai to apko search bar me mobile number ya UPI ID dalna hai aur submit par click karen yadi us number se koi UPI ID hoga to apke samne us aadmi ka nam aajayega. Tab ap confirm par click karen aur amount bhar kar submit button par click karen tab apka request money us aadmi ke pas chala jayega. 

FreeCharge request money interface image

Add Money :-

Yadi ap freecharge wallet me money add karna chahiye hai to ap sab se pahle add money par click karen. Tab apko niche image jaisa interface dikhega jahan amount barna hai aur add money to freecharge par click karna hai.

Freecharge add money option image

Jaise ho ap add money to freecharge par click karenge to apko niche diye image ke jaisa dikhega. Yahan ap credit card ya net banking ke duara money add kar paenge. Yadi ap credit card se karte hai to apko niche diye options ko bharna hai aur yadi apke freecharge app me koi promo code hai to use bhi bhar sakte hai jisse apko money add karne par cashback milega. Phir proceed to pay par click karna hai. Tab apke samne OTP verification ka option aayega ye OTP apke bank duara bheja jayega jise apko copy kar OTP wale jagha par paste kar dena hai aur make payment par click kar dena hai tab apke freecharge wallet me money add ho jayega.

Freecharge add money option image

Withdraw se ab RBI ke naye guidelines ke karan ap apne freecharge wallet se bank account me money transfer nahi kar sakte hai. Ap learn more par click kar money ke limitations ko jan sakte hai.

Home :-

Home me apko bahut sare options milte hai. Jise ham niche ek ke bad ek ko wistari rup se btate hai.

freecharge home features


  • Recharge & Bill Payment :-  Isme apko sab se pahle mobile recharge ka option dikhega jisse ap apne mobile ko recharge kar paenge. Jaise ap mobile par click karenge tab apko niche image jaisa dikhega jahan apko mobile number type karna hai, phir operator select karen aur state select kar Done par click karen.

Tab ap jitne ka recharge karena chahte hai use type karen ya plan par click kar sabhi tarah ke recharge dekh sakte hai us me se apko jo bhi recharge karna hai use select karen. Tab apko teer jaisa nishan dikhega us par click karen tab apko naya interface dikhega jisme apko promo code dalna hai aur pay par click karna hai tab apka recharge process complete ho gaega.

Freecharge home page features image

 Mobile ke just bagal me apko DTH ka option dikhega jisme click kar ap apne ghar ke TV ke channels kharid sakte hai. DTH me click karne par apko do options dikhenge jisme pahle apko apne DTH operater ko select karen phir apna DTH number type karen tab phir ap jis channel Ko kharidna chahte hai use select kar amount bhar kar pay kar den tab apka TV channel start ho gaega.
                 Iske just bagal me apko electricity ka option dikhega jisme ap apne ghar ke electric bill pay kar paenge. Electricity par click karne par apko apne electric provider select kar ap number dalen jo apko bijli vibhag duara diya gaya hai aur confirm par click karen tab apko jitna bijli bill pay karna hai use bharen aur pay kar den.
Aage landline, broadband,gas, google play and datacard sabhi me lag-bhag ek jaisa process hai. Isliye aaga ham nahi Bata rahe hai.

  • Axis Bank saving account :- Yahan se ap Axis Bank  me account saving account khol sakte hai wo bhi 3 minutes me sirf Aadhar card aur Pen card se ghar baithe. Yahan apko do options milte hai jisme se ap niche wala option select karen jisme Aadhar card likha hoga use select kar process par click karen jiske bad apke samne kuch options aayega jise apne documents ke mutabik bharen aur confirm kar apna Axis Bank ASAP open kar sakte hai.

Freecharge home page features image

  • Buy & invest :- Yahan bhi apko bahut sare options milenge jo is parkar hai,
Deals, Mutual fund, Axis ASAP, Gift cards, Money manager,Metro, Bus tickets
Deals me apko bahut sari companies milti hai jisse ap deals kar scratch cards, offers aur coupon milte hai jo ap shopping karne me istemal kar sakte hai.
Mutual fund me ap apne paise ko invest kar sakte hai.
Axis ASAP jo hamne upar bank account banane bataya hai wahi option hai.
Gift cards me bhi apko bahut sari companiyan milengi jo e-gift voucher deti hai jise ap usi company se saman kharid me istemal kar kuch gift pa sakte hai.
Money manager me ap apne bank account ke balance ko check kar paenge sath hi money send aur receive bhi kar payenge jise hamne send money wale option me bataya hai.
Metro and Bus tickets me same process hai. Metro me ap ticket kharid sakte hai lekin uske liye apke pas metro smart card hona chahiye. Tabhi ap ticket kharid paenge aur bus ticket me bhi ap ticket kharid sakte hai uske liye apko place select karna hai jahan apko jana hai aur dusra apne place ko likhna hai tab phir continue par click karna hai tab apke samne sabhi bus ke options aa jayenge ap jisse Jana chahe use select kar ticket bill pay kar apna ticket Bana len.
  • Recent payments:- Isme apko sirf wahi chijen dikhengi jo apne is app me kiya hoga. Jaise recharge, bill aur bahut sare payments jo ap ne kiya hoga.

Reminder :- 

Yahan kewal pending payments ya kisi bhi tarah ka pending len-den dikhega.

Pay Merchant :-

Pay Merchant me apko wahi sab options dikhenge jo hamne send money me bataya hai. Isliye ham yahan par use dubara nahi bata rahe hai.

Offers :-

Isme apko sabhi tarah ke offers dikhenge. Sabhi offers ko dekhne ke liye apko ALL OFFERS ko scroll karna hai jisse sabhi tarah ke offers dikh paenge. Ap jo bhi offer ko istemal karna chahte hai us par click karen tab apko us offer ka terms and conditions dikhega use jarur paden kyunki kai bar ham bina condition pade kar dete hai aur cashback nahi aata hai to ham sochte hai ye sab fack hai magar ye offers work karti hai.

Freecharge offers image

Har offer ki kinare us offer ka promo code dikhega use offer istemal karne ke dauran have a promo code me bharna padta hai. Apko is offer section ke thik kinare SUPER OFFERS dikhenge jo offers abhi trends me hongi ap use activate kar sakte hai taki jab apko istemal karna hoga ap wahan se kar paenge.


Account :-

Jaise ap app open karenge to apko right said niche corner par account ka option dikhega jisme ap ko apke freecharge account se related sabhi settings mil jayegi. Jise ham niche ek ke bad ek ko bata rahe hai taki hame samjhane pe pareshani na ho aur apko samajhne me.

Freecharge account options image

Freecharge account options image

  • My transactions :- Isme apko apka all transactions dikhega jo ap karenge.

  • Bank Accounts :- Yahan apko apka bank account dikhega. Yadi apne bank account link nahi kiya hoga to apko ise click karne par form jaisa khulega jisme apko apna account number bharna hai phir bank account select karna hai iske just bad IFSC code dalna hai jo apke bank ka hoga aur last me apna nam dal kar submit par click karna hai. Tab apke number se bank Ko ek massage jayega phir automatically verify ho jayega aur apka account number, name dikhega us par click kar apne OTP verification kar account link ho gaega.

Freecharge account link form image

  • Saved cards :-  Isme ap apne link kiye credit cards ko dekh sakte hai. Yadi ap money add apne credit/debit cards se kiye honge to apko yahan apka credit/debit cards dikhega. Ap chahen to yahan se apne link kiye credit/debit cards ko delete bhi kar sakte hai.

  • Refer N Earn :- Isme apko click karne par referral code aur kuch share buttons dikhega jise ap apne restedaron aur doston ko bhej kar kuch money earn kar paenge. Yadi apke referral code ka use kar koi bhi aadmi freecharge app download kar money transfer ya recharge karta hai to apko ₹30 rupees aur apke dost ko ₹30 rupees milega.

  • My deals & Coupons :- Isme apko kuch deals aur coupons dikhega jo apne offers section se activate Kiya hoga ya inactivate kiya hoga Lekin apko Refer N Earn aur My deals & Coupons wala options direct nahi dikhega jab ap account wale option me se koi bhi option open kar back honge tab apko ye dono options dikhne lagenge.

  • Bhim UPI settings :-  Isme apko click karne par apke samne ek aur interface khulega jahan kuch aur options dikhenge jise ham niche karambadh batate jaenge.

Freecharge Bhim UPI settings image

UPI linked bank accounts, Generate QR code, Edit UPI ID,De-register, Delete beneficiary and Help

UPI linked bank accounts me apke bank account ka account number, IFSC code aur apka account savings hai ya current wo bhi likha hua dikhega aur saath me apko UPI PIN change ya reset ka option aayega jisse ap apna UPI pin badal paenge. Yadi ap Bhim app use karte hai to ye apka wahi UPI pin automatically le leta hai tab apko pin change karna bahut asan hoga bas change par click karenge to apko apko pahle apka pahle wala UPI pin mangega phir apko do options dikhega jisme apko pahle jo pin banana hai use parents phir confirm ke liye phir se wahi pin bharen tab tick par click kar den aur yadi ap Bhim app nahi use karte hai to sayad ap se apka credit card number aur expire mange tabhi ap UPI pin generate kar paenge.

Generate QR Code se ap apne marji ki QR code bana sakte hai. Jaise ap is par click karenge to apko ek QR code dikhega jo sabhi tarah ke transaction ke liye hai aur yadi ap chahte hai ki 100 rupees ka banayen to apko Generate QR code with amount par click karen phir jitna ka QR code banana hai use bharen aur remark ke liye apko jo dena hai wo likhe aur generate par click kar den tab apka QR code ban jayega. Tab apko jisse bhi 100 rupees lena hoga to ye wala code download kar share kar den.


Freecharge generate QR code image

Freecharge generate QR code image

Edit UPI ID se ap apna man chaha UPI ID bana sakte hai lekin ap sirf 2 bar hi UPI ID badal sakte hai. UPI ID edit karne ke liye ap is option par click karen tab apko apka current UPI ID dikhega aur uske just niche UPI ID banane ka option aayega apko jo bhi nam se ya number se banana hai use type kar confirm par click kar den ya ap uske niche suggested UPI ID likha milega use bhi ap apna UPI ID bana sakte hai.

De-register se ap is app me connect kiye bank account aur sara contact, transactions sabhi hata sakenge iske liye ap ko is option ko click kar ke confirm par click kar ke kar sakte hai lekin fir ap app Ko use nahi kar paenge.

Delete beneficiary me ap apne transaction kiye sabhi contact ko delete kar sakte hai.

Help se ap is app ki har jankari ko jan sakte hai. Jo apko Janna hai use search bar me likhen tab apke samne uske bare me likha hua aa jayega.


KYC details :-

Yahan se ap e-kyc kar paenge. Freecharge KYC karne ke liye apke pas pen card, drivering licence ya voter ID hona chahiye tabhi ap yahan se e-kyc kar paenge. Iske bare me hamne alag se ek blog likha hai jis ka link ham niche de diye hain.
Freecharge KYC kaise karen? :- click here 


Register as Merchant :-  Yahan se ap apne company ya business ke liye account khol sakte hai jaise aaj kal Paytm log apne dukan ke liye use kar rahe hai waise hi ap isse bhi kar sakte hai. Is par click karne par apko pahle do images aur kuch information aayega uske niche get started likha hoga use click karen tab apko ek form jaisa dikhega jisme apko apne company ka nam, business ka nam, kis tarah ka business hai jis ke liye categories select karen, phir apne store ka location den aur pata bhar kar continue par click kar den. Tab apka process complete ho jayega. 


Language settings :-  Yahan se ap language badal sakte hai Lekin is app me kewal 2 hi languages hai English and Hindi.


Help and support :-  Yahan apko madad ke liye kuch video milte hai jise ap click karne ke saath hi dekh sakte hai.


Freecharge accepted here :-  Yahan apko kuch companies milti hai jisme ap freecharge app se money pay kar paenge.


Near By :-  Isme apko kewal apke najdik jo bhi shops freecharge me apna merchant account khola hoga uska shop ka location aur nam dikhega.


About Us & terms and conditions :- 

About us me apko kewal is freecharge app ka about us dikhega Lekin apko terms and conditions me about us, contact us, sitemap and terms and conditions dikhega. Sitemap se ap ye pata laga sakte hai ki ye app kon kon company se judi hai aur last me apko log out ka bhi option dikhega.

Limitations add money in freecharge wallet

Freecharge wallet me ap kewal ₹5000 rupees tak rakh sakte hai. 



www.kaisekaren.online


Yadi apko Abhi bhi kisi tarah ka problems ho to ap hame comments kar pucha sakte hai. Ham apke problem ko hal karne ki koshish karenge.
                                        Yadi apko isi tarah ke apps, offers ya money earning app ke bare me janna chahte hai to hamre blog #Kaise Karen Ko subscribe karen. Ap bell ko click kar hame subscribe kar sakte hai.

                                                        
                                                             Thank you 👍
⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅⇅


















                           

Comments

Popular posts from this blog

Bhim | bhim app kaise use Karen | Bhim app start kaise karen

Secure data || secure karen Instagram par apni privacy in 2019

Phonepe account || how to create phonepe account in Hindi