freecharge KYC || freecharge sign up kaise karen in 2019
freecharge KYC
Aaj ham freecharge KYC ke bare me batane wale hai. Yadi ap bhi freecharge app me apna account bnana chahte hai to ap ise pura jarur paden jisse apko account bnane me paresani nahi hogi niche har ek step ko wistar se bataya gaya hai.
Google pay offers dekhe :- click here
Phonepe offers dekhe :- click here
Freecharge app kya hai :-
Ye ek recharge karne wala app hai. Jisse ap bahut tarah ke recharge kar sakte hai jaise mobile recharge, DTH, bill pay, gas aur bahut sare recharge wo bhi sidhe apke bank account se ya freecharge wallet se kar paenge.
Ye app bhi Paytm jaisa hi banta ja raha hai. Isme bhi bahut tarah ke offers aur cashback aate rahte hai. Isme jyada tar mobile recharge ke achchhe offers hote hai.
Ap chahe to mobile number wale option se sign up kar sakte hai iske liye apko mobile number type karna hai aur OTP verification hoga aur apka sign up process complete ho jayega ya ap yadi Gmail se karna chate hai to ap mobile screen par click karen to mobile number wala option hat jayega. Tab ap facebook ya Gmail id wale options ko click kar sign up kar sakenge. Jiske bad apko allow ka option bhi aayega use allow kar dena hai.
Jab ap apna profile wale option me jayenge to bhi apko KYC details ke aage updated likha dekhega.
Ye app bhi Paytm jaisa hi banta ja raha hai. Isme bhi bahut tarah ke offers aur cashback aate rahte hai. Isme jyada tar mobile recharge ke achchhe offers hote hai.
freecharge app download :-
Sab se pahle ap apna freecharge app download karen. Ise ap chahen to niche diye link se download kar sakte hai jo ap direct Google Play Store se download kar paenge ya ap google play store me ja kar search bar me likhe freecharge aur app ko install kar len.
Freecharge app download link :- click here
freecharge sign up kaise karen? :-
Sab se pahle ap apna freecharge app kholen. Jaise hi ap apna freecharge app kholenge to apko niche image jaisa dikhega.
Jaise hi ap kisi bhi options se sign up karenge to apke samne main interface aayega. Jaisa ki ap niche image me dekh sakte hai.
>freecharge kyc kaise karen?
Abhi ke samai me har aise apps jo aisi subidha uplabdh karati hai un sabhi me KYC karna padta hai kyunki bina KYC ke ap money transaction nahi kar paenge. Is app me bhi apko KYC karna padega jis ke bare me hamne niche bataya hai.
Freecharge kyc :-
- Sab se pahle ap apna app kholen.
- Yadi ap pahli bar sign in karte hai to ap app kholne ke bad screen ko scroll karen tab apko niche update your kyc with freecharge likha hua dikhega. Tab apko update par click karna hai. Ya ap account wale logo par click kar ke bhi KYC kar sakte hai. Jaisa ki ap pahle wale image me dekh sakte hai. Yahan apko KYC details option dekhega. Yahan se bhi ap KYC kar sakte hai.
- Tab apko KYC form dikhega. Jahan apko tin options dikhega. Pahla voter ID dusra pan card aur tisra passport.
- Ap jisse document se chahe use select karen aur isme diye option ko bharen. Jaise hamne pan card ko select kiya aur usme apna name aur pan card number bhara.
- Phir apko information bhar kar submit kar dena hai.
- Ap chahe to submit ke niche click here par click kar is app ke information dekh sakte hai.
- Submit par click karne ke bad apka freecharge KYC complete ho jayega.
- Tab apko congratulations!! likha hua dikhega to apka freecharge kyc process pura hua.
Jab ap apna profile wale option me jayenge to bhi apko KYC details ke aage updated likha dekhega.
Yadi apko abhi bhi kisi tarah ka problems ho to ap hame comments kar puch sakte hai. Mai apke problem ko hap karne ki kosis karunga.
Yadi ap freecharge features, freecharge offers ke bare me janna chahte hai to ap hamare aane wale blog me dekh sakte hai.
Yahan ham apko practical information dete hai. Yadi apko aise hi jankari chahiye to hamare site www.kaisekaren.online ko subscribe karen.
Thank you 👍
⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧⇧
Comments
Post a Comment
Spam comments not allowed,,,!!