keyword everywhere ko mobile me kaise install karen?
Keyword everywhere
Keyword everywhere ek keyword research tool hai. Jo google ka hi product hai. Keyword everywhere ek chrome extension hai. Ise google ne keyword research karne ke liye banaya hai. Jo bilkul free hai. Is se ap free me keyword research kar sakte hai aur saath us keyword ka vol, CPC aur competition bhi jan sakte hai. Aaj ham keyword everywhere ko mobile me install karne bataenge. Yadi ap Ise mobile me install karna Chahte hain to Ise pura jarur paden......
keyword everywhere ko mobile me kaise install karen?
Yadi apke pas computer ya laptop hai to ap Ise aasani se install kar sakte hai par yadi apko mobile me keyword everywhere ko install karna hai to apko kafi paresaniyan ho sakti hai. Lekin aaj ham jo tarika batane wale hai wo bilkul easy hai. Ap ise badi aasani se mobile me bhi install kar paenge.
Sab se pahle apko apna play store open karna hai aur search bar me Yandex browser likhna hai tab apke samne ye app aa jayega. Jaisa niche image me diya hai. Ise install karen.
Apne Instagram ko kaise secure karen:- click here
Install karne ke bad ap is apko open karen. Tab apko is app ki kuch khubiyan dikhai jaegi. Jise next-next kar ke aage bad gaen. Tab apko is app ki main interface dikhegi. Yahan apko search bar me google likhna hai kyunki ye google chrome extension hai isliye ye google chrome me hi support karega isliye apko search bar me google likhna hai. Tab phir apko sab se pahle link google India par click karna hai. Tab apko ek notification aayega jisme apko location ke liye allow mangega. Ap chahen to use allow kar sakte hai ya nahi bhi.
Phir google ke search bar me keyword everywhere type karen aur sab se pahle link par click karen jaisa ki niche image me diya hai.
Kmaen paisa from top 5 money earning apps:- click here
Keyword everywhere installing step :-
- Tab apke samne keyword everywhere ka interface khulega. Jahan apko install karne ke liye 2 options dikhenge. Pahla install for chrome and dusra install for firefox.
- To apko install for chrome par click karna hai.
- Tab apke samne new interface khulta hai jahan apko add to chrome par click karna hai.
- Tab apke samne ek pop up window khulta hai jisme apko add extension par click karna hai.
- Tab apko email address bharne ka option dikhega. Yahan ap apna koi bhi email address dalen taki apko API key find karne ke liye link bheja jaega aur uske thik niche 2 ticks karna hai. Phir email me the free API par click karen.
- API key gyat karne ke liye apko email me jana hai aur sab se upar wale link me click karna hai to apko right side corner par apka API KEY dikhega use copy kar len.
- Tab phir apko phir se Yandex browser me jana hai email address ke bad apko niche diye image ki tarah page dikhega.
- Ab apko browser ke right side ke niche corner ke three dots par click karen aur extension wale option me jaen. Tab apko new folder me keyword everywhere dikhega. Us par click karen. Tab apko keyword everywhere ke settings me jaen. Yahan apne jo API KEY copy kiya the use API KEY ke jagah par paste karen.
- Phir apko country, highlight volume aur highlight CPC ko set karen.
- Tab apka keyword everywhere extension installation pura ho jata hai.
- Ab ap jab bhi Yandex browser ke google me kuch bhi likhenge to apko keyword ke just bagal me apko us keyword ka volume, CPC aur competition dikhne lagega lekin jab ap keyword se window open kar lete hai to apko keyword nahi dikhne lagega tab apko niche three dots par click kar GO TO FULL SITE par click karen tab apko us keyword ka sabhi chij dikhne lagega aur sath hi apko usi keyword aur other keyword bhi dikhne lagega. Jisa ki ap niche images me dekh sakte hai.
Settings in keyword everywhere :-
Keyword everywhere extension me settings karne ke liye apko Yandex browser ke search bar me google type karna hai tabhi apko three dots par click karne par apko extension ka option dikhega. Yadi ap direct Yandex browser ke three dots par click karte hai to apko ye option nahi dikhega.
👉Buy Now women's clothes From a2__fashion
👉Buy Now women's clothes From a2__fashion
Set up keyword everywhere setting :
- Jaise hi ap extension par click kar keyword everywhere ke option me jaenge to apko settings ke option par click karna hai.
- Tab apko yahan par sab se pahle country set karna hai.
- Phir apko niche highlight volume aur highlight CPC ka option dikhega aur is dono option ke bagal me apko volume, CPC aur competition tino number me dikhega aur har ek ke aage great than aur less than ka symbols bhi dikhega.
- Jise ap apne mutabik set kar sakte hai ki keyword par kitna volume,kitna CPC aur kitna competition chahiye. Ye Sabi ko set kar len taki apko keyword everywhere ke duara recommend keyword ka vol, CPC aur competition apke mutabik hi mile is liye ise set karna jaruri hai.
- Greater than aur less than ko bhi set kar len.
- Set karne ke bad back kar len wo sab set ho gaega.
Conclusion :-
Ye extension lagbhag blogger aut other log ise istemal karte hai. Ye extension bahut hai achchhi hai aur saath hi free bhi hai isliye mai ise recommend karta hun ki ap bhi ise use kar ke dekhen kyunki ye free ke saath saath apko ye kafi exect aur kafi chijen batata hai.
Yadi apko aur bhi keyword tools ke bare me jankari chahte hai to hamare site www.kaisekaren.online ko subscribe karen.
Thank you👍
Comments
Post a Comment
Spam comments not allowed,,,!!