Secure Data||How to secure data of gmail,facebook,twitter in hindi 2019
Secure Data || How to secure data of gmail, facebook ,twitter in hindi 2019
Secure Data : badte cyber hamlon ke bawagud bahut kam user aise hain jo apni emails, social media aur anye digital content ko lekar bahut jyada fikarmand hote hain, kyunki aaj bhi badi sankhya me user apne account ko safe rakhne ke liye 2-facter authentication (2-FA) ka istemal nahi karte hain. Jante hain 2FA ka istemal kis tarah kiya ja sakta hai.......
Secure Data
Aaj kal aksar account hack hone ki ghatnaen aati rahti hai. Kuchh time pahle hi 5 crores se aadhik facebook account hack kar liya gaya tha. Is tarah ki ghatnaen rukne ki bagay lagatar badti ja rahi hai. Aaisi sthiti me 2-facter authentication jaruri ho jata hai , kyunki yah online account ko ek atirikt security layer pardan karta hai. Kai bar 2-facter authentication na hone ki vajah se user hackers ka aasan target bante hain. Yah online account ko secure karne ka ek surakchhit aur aasan tarika mana jata hai.
How to secure data of your Gmail?
Gmail account : Aaj ke daur me Gmail sab se lokpriy email service hai. Apne is account ko surakchhit rakhne ke liye 2-step verification ka istemal kar sakte hai. Iski khasiyat hai ki agar koi apka password jan jaye, tab bhi wah apke account ko open nahi kar paega, kyunki account ko open karne ke liye password ke sath verification code ki bhi jarurat padti hai aur verification code apke mobile par bheja jata hai. Usi ke jariye account ko open kiya ja sakta hai. Agar google ya Gmail account ke saath 2-step verification ko jodna chahte hain, to niche diye step ko follow Karen........
Follow the steps 2-step verification
- sab se pahle apko https://my account.google.com par sign in karna hoga.
- Phir security par click karen. Yahan 2-step verification ka option dikhai dega.
- Phir niche ki taraf apko get started ka button dikhai dega. Us par click karen.
- Verify karne ke liye ek bar aur yahan sign-in karna hoga.
- Phir apko 2-step verification ko turn on karne ka option dikhai dega. Us par click kar den.
- By default isme voice aur text verification massage apke registered mobile number par bheja jata hai.
- Smartphone ke liye google prompt ka bhi istemal kar sakte hain.
How to secure data of your facebook ?
Facebook account : facebook account Ko aur jyada secure banana chahte hain, to phir yahan bhi 2-factor authentication ka istemal kar sakte hain. Is feature ko enable karne ke liye apko niche diye step ko follow karna hai.......
Follow my facebook page:- click here
Follow the steps 2-factor authentication
- Is feature enable karne ke liye pahle apne account ko login karna hoga.
- Phir dahinee taraf uper ki or dikh rahe settings me jaen. Settings me jane ke bad apko bayeen taraf security aur login ka wikalp najar aayega.
- Security aur login par click karne ke bad niche ki taraf apko change password aur login option milenge.
- In option ke thik niche apko 2-factor authentication ka wikalp dikhega.
- Is par click karne ke bad get started par tap karen.
- Ab apke pass do wikalp honge - text massage aur authentication app.
- Agar text massage ke wikalp ko chunte hain, to apko apna mobile number darj karna hoga.
- Dhyan rahe ki verification ke liye apke isi number par code bheja jaega.
- Number darj karne ke bad phone par ek code aaega.
- Code dalte hi 2-FA activate ho jaega.
- Iske alawa, authentication ke liye google authentication app ka istemal bhi kar sakte hain.
How to secure data of your Twitter account
Twitter account : Is account ko secure karne ke liye login verification ka istemal kar sakte hain. Isme verification code apke mobile number par bheja jata hai. Twitter par login verification ko enable karne ke liye apko niche diye step ko follow karen.........
Follow the steps
- Twitter par login verification ko enable karne ke liye email address aur phone number ko pahle confirm karna hoga.
- Is ke liye account ko login karne ke bad profile icon par click karen.
- Phir settings aur privacy me jaen. Yahan account ke option par tap karen.
- Phir setup login verification par jaen.
- Instructions padne ke bad start par click karen.
- Phir password dal kar verifiy karna hoga.
- Iske bad send code par click karne ke bad verification code apke number par chala jayega.
- Phir us code ko dal kar submit kar den.
- Yahan par backup code bhi generate kar sakte hain, jo mobile kho jane ki isthiti me kam aa sakta hai.
- Iske bad jab bhi account ko login karenge, 6 digits ka code apke mobile par aayega.
- Yahan login verification ke liye third party verification app ka istemal bhi kar sakte hain.
Agar ap Instagram, WhatsApp ki bhi secure data kaise karen janna chahte hai to hame comments kar jarur batae.
Aur yadi hamare blog www.kaisekaren.online ko subscribe nahi kiya hai to subscribe kar len taki apko aaise hi chijon ki jankari milti rahe.
Thank you 👍
⤱⤲⤱⤲⤳⤧⤧⤲⤦⤧⤦⤦⤲⤧⤧⤧⤧⤞⤞⤥⤝⤞⤥⤰⤥⤦⤥⤍⤘⤥⤥⤦⤥⤝⤥⤺⤱⤦⤥⤺⤦⤲⤰⤦⤤⤘⤱⤘⤦⤥⤏⤰
Comments
Post a Comment
Spam comments not allowed,,,!!